Ghamgeen Dehlvi

na puchh hijr mein jo haal ab hamara hai

Ghamgeen Dehlvi

1753-1851
na pūchh hijr meñ jo haal ab hamārā hai
umīd-e-vasl hī par in dinoñ guzārā hai
na dekhūñ tujh ko to aatā nahīñ kuchh aah nazar
tū merī putlī kā āñkhoñ kī yaar taarā hai
mujhe jo baam pe shab ko bulā.e hai vo maah
magar uruuj pe kyā in dinoñ sitārā hai
yaqīn jaan tū vaa.iz ki diin o duniyā meñ
bas us kī sirf mujhe zaat kā sahārā hai
ajab tarah se nazar paḌ gayā mire hamdam
qayāmat aah vo mukhḌā bhī pyārā pyārā hai
mujhe jo dostī hai us ko dushmanī mujh se
na iḳhtiyār hai us kā na merā chārā hai
kahā jo maiñ ne pilāte ho bazm meñ sab ko
magar hameñ hī nahīñ kyā gunah hamārā hai
to bole vo ki jise chāheñ ham pilā.eñ sharāb
ḳhushī hamārī tirā is meñ kyā ijārā hai
gayā vo parda-nashīñ jab se apne ghar 'ġhamgīñ'
tamām ḳhalq se dil ko mire kinārā hai
Top Urdushayar.com