Ahmad Kamal Hashmi

kisi ki zist ka bas ek bab sannaTa

Ahmad Kamal Hashmi

Kankinara, West Bengal, India

1964

kisī ziist bas ek baab sannāTā

kisī ke vāste puurā nisāb sannāTā

hai us ko lafz se matlab mujhe ma.ānī se

hai us shor mirā intiḳhāb sannāTā

darūn-e-ḳhāna vīrāniyāñ kuchh aisī thiiñ

barūn-e-ḳhāna huā aab aab sannāTā

mujhe pata hai kahānī iḳhtitām hai kyā

tavīl baat lubb-e-lubāb sannāTā

mirī ḳhamoshī pe uñglī uThātā rahtā hai

ḳhud apnā kartā nahīñ ehtisāb sannāTā

buland hotī sadā ko dabā ke ḳhush mat ho

zarūr lā.egā ik inqalāb sannāTā

shab-e-firāq tirī yaad merī tanhā.ī

udaas udaas fazā māhtāb sannāTā

abhī 'kamāl' yahāñ qahqahe uchhalte haiñ

kahīñ na kar de unheñ ek ḳhvāb sannāTā

Top Urdushayar.com