Ahmad Kamal Hashmi

Dara raha hai mujhe ek Dar andhere mein

Ahmad Kamal Hashmi

Kankinara, West Bengal, India

1964
Darā rahā hai mujhe ek Dar añdhere meñ
bichhaḌ na jaa.e kahīñ ham-safar añdhere meñ
umaDtī kaalī ghaTāoñ ko roknā hogā
na Duub jaa.e kahīñ dopahar añdhere meñ
karo na mere liye tum koī diyā raushan
mujhe ab aane lagā hai nazar añdhere meñ
ka.ī charāġhoñ ne ūdham machā.ī thī ik shab
tabhī se Duub gayā ghar kā ghar añdhere meñ
vo apnī zaat meñ ik chāñd hai pa vaqt-e-sahar
maiñ apnī zaat meñ jugnū huuñ par añdhere meñ
har aadmī nikal aatā hai ḳhol se bāhar
koī bhī rahtā nahīñ mo'atabar añdhere meñ
charāġh vāloñ ke sab da.ave khokhle nikle
maiñ kar rahā huuñ musalsal safar añdhere meñ
'kamāl' Daal do tum kūḌe-dān meñ un ko
charāġh jalte nahīñ haiñ agar añdhere meñ
Top Urdushayar.com