Abhay Kumar Bebak

kisi ki zulf nahin lab ki garmiyan bhi nahin

Abhay Kumar Bebak

Deoria, Uttar pradesh, India

1957
kisī kī zulf nahīñ lab kī garmiyāñ bhī nahīñ
guloñ pe aaj to āvāra titliyāñ bhī nahīñ
abhī ye haal huā is pe kashtiyāñ guzrīñ
vo gaañv jis pe kabhī chhā.īñ badliyāñ bhī nahīñ
hamārā ghar hai ki dīvāroñ kī numā.ish hai
koī kivāḌ to kyā is meñ khiḌkiyāñ bhī nahīñ
garāñ thī shab to mirī sub.h bhī hirāsāñ hai
abhī ufuq pe vo pahle sī surḳhiyāñ bhī nahīñ
asīr-e-jism hai jaañ aur ye badan apnā
kamāl kā hai qafas jis meñ tīliyāñ bhī nahīñ
ga.ī hai un pe bhī ab us kī barq-bār nazar
daraḳht jin pe hamāre to āshiyāñ bhī nahīñ
sulūk us ne mohabbat meñ vo kiyā 'bebāk'
huā jo ham se adāvat ke darmiyāñ bhī nahīñ
Top Urdushayar.com