tum  se  kuchh  kahne  ko  thā  bhuul  gayā
haa.e  kyā  baat  thī  kyā  bhuul  gayā
bholī  bholī  jo  vo  sūrat  dekhī
shikva-e-jaur-o-jafā  bhuul  gayā
dil  meñ  baiThā  hai  ye  ḳhauf  us  but  kā
haath  uTThe  ki  duā  bhuul  gayā
ḳhush  huuñ  is  vāda-farāmoshī  se
us  ne  hañs  kar  to  kahā  bhuul  gayā
hāl-e-dil  sunte  hī  kis  lutf  se  haa.e
kuchh  kahā  kuchh  jo  rahā  bhuul  gayā
vaañ  kis  ummīd  pe  phir  jaa.e  koī
ai  dil  us  baat  ko  kyā  bhuul  gayā
hosh  meñ  aa  ke  sunā  kuchh  qāsid
yaad  kyā  hai  tujhe  kyā  bhuul  gayā
ahd  kyā  thā  mujhe  kuchh  yaad  nahīñ
yahī  gar  bhuul  gayā  bhuul  gayā
maiñ  idhar  bhuul  gayā  ranj-e-firāq
vo  udhar  uzr-e-jafā  bhuul  gayā
yaad  meñ  ek  sanam  kī  nāseh
maiñ  to  sab  kuchh  ba-ḳhudā  bhuul  gayā
ḳhair  mujh  par  to  jo  guzrī  guzrī
shukr  vo  tarz-e-vafā  bhuul  gayā
yaad  us  kī  hai  mirī  ziist  'nizām'
maut  aa.ī  jo  zarā  bhuul  gayā