fikr  yahī  hai  har  ghaḌī  ġham  yahī  sub.h  o  shaam  hai
gar  na  milā  vo  kuchh  dinoñ  kaam  yahāñ  tamām  hai
ab  haiñ  hamāre  naam  par  saikḌoñ  gāliyāñ  ye  lutf
kahte  the  tum  miyāñ  miyāñ  vo  hī  to  ye  ġhulām  hai
ḳhair  na  miliye  roz  roz  yūñhī  sahī  kabhī  kabhī
us  se  bhī  inhirāf  hai  is  meñ  bhī  kuchh  kalām  hai
ai  dil-e-be-qarār  kuchh  kar  vo  ruke  to  rukne  de
fā.eda  iztirāb  se  sabr  kā  ye  maqām  hai
koī  kahe  burā  bhalā  koī  adū  ho  yā  ho  dost
aur  kisī  se  kaam  kyā  aap  se  mujh  ko  kaam  hai
haa.e  har  ik  kī  vo  sune  kuchh  maiñ  kahūñ  to  ye  kahe
aap  na  mujh  se  kuchh  kaheñ  aap  se  kab  kalām  hai
aaj  haiñ  ham  to  jāñ-ba-lab  kal  ko  gar  aa.e  bhī  husūl
tum  ko  kisī  se  kyā  ġharaz  apnī  ḳhushī  se  kaam  hai
ye  bhī  ġhazab  kā  rashk  hai  ḳhat  to  hai  nām-e-ġhair  par
aur  lifāfe  par  likhā  sahv  se  merā  naam  hai
kis  ko  kyā  shahīd-e-nāz  kis  kī  huī  vafā  pasand
kahte  haiñ  un  ke  dar  par  aaj  ḳhalq  kā  azhdahām  hai
ab  haiñ  fareb  kis  liye  hogā  yaqīñ  kisī  ko  ab
tum  se  vafā  kī  aarzū  ye  bhī  ḳhayāl-e-ḳhām  hai
tauba  kā  yaañ  kise  ḳhayāl  mai  ko  samajhte  haiñ  halāl
jis  ke  liye  harām  hai  us  ke  liye  harām  hai
din  ho  to  āfateñ  ye  kuchh  raat  ho  to  ye  kuchh  sitam
kaisī  hamārī  sub.h  hai  kaisī  hamārī  shaam  hai
hijr  ke  vo  sitam  sahe  ab  na  rahī  havā-e-vasl
haal  yahī  hai  nāma-bar  ye  hī  mirā  payām  hai
sun  ke  mirī  fuġhāñ  kā  shor  pūchhā  kisī  ne  kaun  hai
bole  sunā  na  hogā  kyaa,  ye  to  vahī  'nizām'  hai