is  qadar  aap  kā  itaab  rahe
dil  ko  mere  na  iztirāb  rahe
na  paTī  un  se  pyaar  kī  mīzān
haañ  magar  rañj  be-hisāb  rahe
yuuñ  shab-e-vasl  kā  hai  aalam  yaad
jaise  barsoñ  kī  yaad  ḳhvāb  rahe
hāl-e-dil  sun  ke  bol  uThā  qāsid
yaad  kis  ko  ye  sab  kitāb  rahe
muntazir  huuñ  kisī  ke  aane  kā
kis  kī  āñkhoñ  meñ  aa  ke  ḳhvāb  rahe
sub.h  ke  is  hijāb  ne  maarā
raat  bhar  aise  be-hijāb  rahe
ġhair  kā  muñh  aur  aap  se  bāteñ
aisī  bātoñ  se  ijtināb  rahe
ham  bhī  mar  kar  azaab  se  chhūTe
aap  bhī  dāḳhil-e-savāb  rahe
haa.e  vo  din  ḳhudā  na  laa.e  yaad
ham  se  rūThe  jo  kuchh  janāb  rahe
bahr-e-hastī  se  kuuch  hai  darpesh
yaad  mansūba-e-hubāb  rahe
ek  dam  kā  yahāñ  tavaqquf  hai
ḳhema  be-chob  be-tanāb  rahe
kuchh  na  ban  aa.ī  us  ke  aage  'nizām'
do  hī  bātoñ  meñ  lā-javāb  rahe