Nizam Rampuri

dekh apne qarar karne ko

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
dekh apne qarār karne ko
aur mire intizār karne ko
tumheñ dekhe se kyā tasallī ho
jī to hotā hai pyaar karne ko
merī tadbīr ik nahīñ kartā
haiñ nasīhat hazār karne ko
vo vo sadme sahe shab-e-ġham meñ
chāhiye din shumār karne ko
vo gar aa.eñ to paas kyā hai aur
ek jaañ hai nisār karne ko
jhūTe va.ade kiyā na kiije aap
muft ummīd-vār karne ko
aap haiñ rūThne hī ko aur ham
minnateñ baar baar karne ko
apnī ayyāriyoñ ko dekheñ aap
aur mire e'tibār karne ko
dil bhī terā sā chāhiye hai 'nizām'
ishq ke iḳhtiyār karne ko
Top Urdushayar.com