dekh  apne  qarār  karne  ko
aur  mire  intizār  karne  ko
tumheñ  dekhe  se  kyā  tasallī  ho
jī  to  hotā  hai  pyaar  karne  ko
merī  tadbīr  ik  nahīñ  kartā
haiñ  nasīhat  hazār  karne  ko
vo  vo  sadme  sahe  shab-e-ġham  meñ
chāhiye  din  shumār  karne  ko
vo  gar  aa.eñ  to  paas  kyā  hai  aur
ek  jaañ  hai  nisār  karne  ko
jhūTe  va.ade  kiyā  na  kiije  aap
muft  ummīd-vār  karne  ko
aap  haiñ  rūThne  hī  ko  aur  ham
minnateñ  baar  baar  karne  ko
apnī  ayyāriyoñ  ko  dekheñ  aap
aur  mire  e'tibār  karne  ko
dil  bhī  terā  sā  chāhiye  hai  'nizām'
ishq  ke  iḳhtiyār  karne  ko