dil  lage  hijr  meñ  kyuuñ  kar  merā
dil  tirā  sā  nahīñ  patthar  merā
yuuñ  to  rūThe  haiñ  magar  logoñ  se
pūchhte  haal  haiñ  aksar  merā
raah  niklegī  na  kab  tak  koī
tirī  dīvār  hai  aur  sar  merā
kahte  haiñ  aah  kī  dekheñ  tāsīr
na  huā  vasl  mayassar  merā
ye  to  kah  kaun  sī  tadbīr  na  kī
na  huā  tū  hī  sitamgar  merā
kyā  sunūñ  ai  dil-e-bad-zan  terī
dost  hai  to  vo  muqarrar  merā
lutf  ranjish  ke  dikhātā  tum  ko
kyā  kahūñ  bas  nahīñ  dil  par  merā
unheñ  milnā  nahīñ  mujh  se  manzūr
kis  kī  taqsīr  muqaddar  merā
pūchhnā  kyā  hai  chaleñ  jaa.eñ  aap
zor  chaltā  nahīñ  tum  par  merā
ġhair  kā  haal  hai  kahnā  manzūr
kahte  haiñ  zikr  milā  kar  merā
rashk-e-dushman  kā  gilā  kartā  huuñ
hai  qusūr  is  meñ  sarāsar  merā
ḳhvāhish-e-dil  kahīñ  bar  aa.e  'nizām'
dil  ka.ī  din  se  hai  muztar  merā