chheḌ  manzūr  hai  kyā  āshiq-e-dil-gīr  ke  saath
ḳhat  bhī  aayā  kabhī  to  ġhair  kī  tahrīr  ke  saath
go  ki  iqrār  ġhalat  thā  magar  ik  thī  taskīn
ab  to  inkār  hai  kuchh  aur  hī  taqrīr  ke  saath
pech  qismat  kā  ho  to  kyā  kare  is  meñ  koī
dil  ko  vābastagī  hai  zulf-e-girah-gīr  ke  saath
vo  bhī  kahte  hue  kuchh  duur  tak  aa.e  pīchhe
ham  jo  us  bazm  se  nikle  bhī  to  tauqīr  ke  saath
ye  bhī  ik  vasl  kī  sūrat  thī  magar  rashk-e-nasīb
us  kī  tasvīr  kabhī  ġhair  kī  tasvīr  ke  saath
vāda-e-sub.h  pe  ab  kis  ko  yaqīñ  ho  qāsid
aaj  to  jaan  ga.ī  nāla-e-shab-gīr  ke  saath
kaho  ranjish  kā  sabab  kuchh  nahīñ  merī  hī  suno
uzr  to  chāhiye  karnā  mujhe  taqsīr  ke  saath
aap  dete  haiñ  aziyyat  hī  shikāyat  kī  evaz
kuchh  zabāñ  se  bhī  to  farmā.iye  tāzīr  ke  saath
dekhiye  mil  hī  gayā  aap  se  vo  shoḳh  'nizām'
kaam  jo  kuchh  kare  insān  sau  tadbīr  ke  saath