Nizam Rampuri

kisi ne pakDa daman aur kisi ne aastin pakDi

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872

kisī ne pakḌā dāman aur kisī ne āstīñ pakḌī

na uTThā maiñ us kūche se ye maiñ ne zamīñ pakḌī

ḳhudā shāhid hai dil par choT ik lag ga.ī mere

bahānā dard-e-sar kar ke jab us ne jabīñ pakḌī

sivā un ke na kahnā aur se aafat na kuchh aa.e

na jaane baat merī qāsidā shāyad kahīñ pakḌī

bhalā ab mujh se chhuTtā hai kahīñ us shoḳh chaskā

ye kyā hai chheḌ merī har ghaḌī ham-nashīñ pakḌī

ġhazab haiñ aap bhī maiñ ne to tum se kaan pakḌā hai

huā jab kuchh maiñ kahne ko zabāñ merī vahīñ pakḌī

ye qismat vasl shab sub.h tak takrār meñ guzrī

idhar kuchh maiñ ne zid pakḌī udhar us ne ''nahīñ'' pakḌī

mujhe Dasvāo ik mār-e-siyah se ye sazā diije

jafā apne sāhib jo zulf-e-ambarīñ pakḌī

ḳhudā ke fazl se aisī tabī.at hai 'nizām' apnī

ġhazal dam meñ kahī fazl-e-ḳhudā se jo zamīñ pakḌī

Top Urdushayar.com