Nizam Rampuri

sadme yun ghair par nahin aate

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872

sadme yuuñ ġhair par nahīñ aate

tumheñ jaur is qadar nahīñ aate

phir tasallī kaun sūrat

ḳhvāb meñ bhī nazar nahīñ aate

aate haiñ jab ki nā-umīd hoñ ham

kabhī vo va.ade par nahīñ aate

roz ke intizār ne maarā

saaf kah do agar nahīñ aate

nahīñ ma.alūm is kyā baa.is

roz kahte haiñ par nahīñ aate

aur tum kis ke ghar nahīñ jaate

ek mere ghar nahīñ aate

ab to hai qahr aap jaanā

nahīñ aate agar nahīñ aate

sach hai hiile mujhī ko aate haiñ

aur tumheñ kis qadar nahīñ aate

un ko maiñ is tarah bhulā.ūñ 'nizām'

yaad kis baat par nahīñ aate

Top Urdushayar.com