Nizam Rampuri

aadat se unki dil ko KHushi bhi hai gham bhi hai

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
aadat se un kī dil ko ḳhushī bhī hai ġham bhī hai
ye lutf hai sitam bhī hai uzr-e-sitam bhī hai
ulfat mujhe jatāte ho dil meñ bhī dard hai
rone kā muñh banāte ho āñkhoñ meñ nam bhī hai
is but kā vasl thā to ḳhudā.ī kā aish thā
ye jānte na the ki zamāne meñ ġham bhī hai
taskīn mere dil kī aur us bevafā kā qaul
dil meñ fareb bhī hai laboñ par qasam bhī hai
ab aao mil ke so raheñ takrār ho chukī
āñkhoñ meñ niiñd bhī hai bahut raat kam bhī hai
naumīdī bhī hai vasl se us ke umiid bhī
kuchh dard-e-dil baḌhā bhī hai kuchh rañj kam bhī hai
ye baat gar na ho to kare kaun hausla
milnā kisī kā sahl bhī hai aur alam bhī hai
jaatā hai shak bhī kar gayā hai vahm meñ vo shoḳh
kūche meñ ġhair hī ke nishān-e-qadam bhī hai
bāham tapāk bhī haiñ kabhī ranjisheñ bhī haiñ
lutf-o-karam bhī hai kabhī jaur-o-sitam bhī hai
aa jaa.eñ vo magar mujhe aatā nahīñ yaqīñ
qāsid kā jo hai qaul vo ḳhat meñ raqam bhī hai
bigḌe hue haiñ aaj ḳhudā ḳhair hī kare
kuchh bal bhī hai jabīñ pe kuchh abrū pe ḳham bhī hai
mar jaate ham to kab ke ajal dekhtī hai tū
fursat kisī ke ġham se hameñ koī dam bhī hai
kahne ko do makāñ haiñ kiiñ to hai ek hī
bait-us-sanam hai jo vahī bait-ul-haram bhī hai
yuuñ kah ke bhuul jaanā ye ḳhū aap hī kī hai
mujh ko vo yaad ahd bhī hai vo qasam bhī hai
jab kuchh kahūñ to kahte haiñ ye phir sunūñgā maiñ
phir aisā koī vaqt bhī hai koī dam bhī hai
kaisā visāl o hijr agar fahm hai 'nizām'
har haal meñ judā bhī hai vo aur baham bhī hai
Top Urdushayar.com