aadat  se  un  kī  dil  ko  ḳhushī  bhī  hai  ġham  bhī  hai
ye  lutf  hai  sitam  bhī  hai  uzr-e-sitam  bhī  hai
ulfat  mujhe  jatāte  ho  dil  meñ  bhī  dard  hai
rone  kā  muñh  banāte  ho  āñkhoñ  meñ  nam  bhī  hai
is  but  kā  vasl  thā  to  ḳhudā.ī  kā  aish  thā
ye  jānte  na  the  ki  zamāne  meñ  ġham  bhī  hai
taskīn  mere  dil  kī  aur  us  bevafā  kā  qaul
dil  meñ  fareb  bhī  hai  laboñ  par  qasam  bhī  hai
ab  aao  mil  ke  so  raheñ  takrār  ho  chukī
āñkhoñ  meñ  niiñd  bhī  hai  bahut  raat  kam  bhī  hai
naumīdī  bhī  hai  vasl  se  us  ke  umiid  bhī
kuchh  dard-e-dil  baḌhā  bhī  hai  kuchh  rañj  kam  bhī  hai
ye  baat  gar  na  ho  to  kare  kaun  hausla
milnā  kisī  kā  sahl  bhī  hai  aur  alam  bhī  hai
jaatā  hai  shak  bhī  kar  gayā  hai  vahm  meñ  vo  shoḳh
kūche  meñ  ġhair  hī  ke  nishān-e-qadam  bhī  hai
bāham  tapāk  bhī  haiñ  kabhī  ranjisheñ  bhī  haiñ
lutf-o-karam  bhī  hai  kabhī  jaur-o-sitam  bhī  hai
aa  jaa.eñ  vo  magar  mujhe  aatā  nahīñ  yaqīñ
qāsid  kā  jo  hai  qaul  vo  ḳhat  meñ  raqam  bhī  hai
bigḌe  hue  haiñ  aaj  ḳhudā  ḳhair  hī  kare
kuchh  bal  bhī  hai  jabīñ  pe  kuchh  abrū  pe  ḳham  bhī  hai
mar  jaate  ham  to  kab  ke  ajal  dekhtī  hai  tū
fursat  kisī  ke  ġham  se  hameñ  koī  dam  bhī  hai
kahne  ko  do  makāñ  haiñ  kiiñ  to  hai  ek  hī
bait-us-sanam  hai  jo  vahī  bait-ul-haram  bhī  hai
yuuñ  kah  ke  bhuul  jaanā  ye  ḳhū  aap  hī  kī  hai
mujh  ko  vo  yaad  ahd  bhī  hai  vo  qasam  bhī  hai
jab  kuchh  kahūñ  to  kahte  haiñ  ye  phir  sunūñgā  maiñ
phir  aisā  koī  vaqt  bhī  hai  koī  dam  bhī  hai
kaisā  visāl  o  hijr  agar  fahm  hai  'nizām'
har  haal  meñ  judā  bhī  hai  vo  aur  baham  bhī  hai