Nizam Rampuri

kyun karte ho etibar mera

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
kyuuñ karte ho e'tibār merā
ma.alūm hai tum ko pyaar merā
ye ḳhair hai aaj kuchh to kahiye
kyuuñ zikr hai baar baar merā
ik baat meñ faisla hai tum se
ranjīda hai dil hazār merā
terā nahīñ e'tibār mujh ko
tū bhī na kar e'tibār merā
shāyad ki na ho tum apne bas ke
dil par to hai iḳhtiyār merā
mujh ko na ho rashk ġhair-mumkin
tū aur ho dost-dār merā
kuchh samjhe hue haiñ apne dil meñ
sunte nahīñ hāl-e-zār merā
vo haa.e bigaḌ ke us kā jaanā
ronā vahīñ zār-zār merā
kal tak to 'nizām' ye na thā haal
dil aaj hai be-qarār merā
Top Urdushayar.com