kyuuñ  karte  ho  e'tibār  merā
ma.alūm  hai  tum  ko  pyaar  merā
ye  ḳhair  hai  aaj  kuchh  to  kahiye
kyuuñ  zikr  hai  baar  baar  merā
ik  baat  meñ  faisla  hai  tum  se
ranjīda  hai  dil  hazār  merā
terā  nahīñ  e'tibār  mujh  ko
tū  bhī  na  kar  e'tibār  merā
shāyad  ki  na  ho  tum  apne  bas  ke
dil  par  to  hai  iḳhtiyār  merā
mujh  ko  na  ho  rashk  ġhair-mumkin
tū  aur  ho  dost-dār  merā
kuchh  samjhe  hue  haiñ  apne  dil  meñ
sunte  nahīñ  hāl-e-zār  merā
vo  haa.e  bigaḌ  ke  us  kā  jaanā
ronā  vahīñ  zār-zār  merā
kal  tak  to  'nizām'  ye  na  thā  haal
dil  aaj  hai  be-qarār  merā