Nizam Rampuri

hilti hai zulf jumbish-e-gardan ke sath sath

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872

hiltī hai zulf jumbish-e-gardan ke saath saath

nāgin bhī hai lagī huī rahzan ke saath saath

kis kudūratoñ se ye miTTī ḳharāb hai

kis ġhubār hai tire dāman ke saath saath

uTThā thā muñh chhupā.e hue maiñ sub.h ko

jaatā thā maiñ raat ko dushman ke saath saath

kūche meñ us sanam ke ḳhudā.ī lutf hai

nāhaq phirā maiñ shaiḳh o barhaman ke saath saath

dil tapish ne ḳhaak uḌaa.ī ye ba.ad-e-marg

lāsha phirā kiyā mirā madfan ke saath saath

allāh apne rashk darja bhī ab nahīñ

kis kis jagah gayā but-e-pur-fan ke saath saath

jhoñkā qafas meñ aayā jo bād-e-bahār

pahlū se dil nikal chalā san-san ke saath saath

ashkoñ ke saath saath to maujeñ ġhamoñ haiñ

āñkhoñ ke sho.ale haiñ mire shevan ke saath saath

jis raah se guzarte haiñ vo, mujh se saikḌoñ

ho lete haiñ junūñ-zada ban ban ke saath saath

zanjīr mere paañv ke pīchhe paḌī hai yuuñ

phirtā hai rishta jis tarah sozan ke saath saath

kab tak kisī ko kholeñ kisī ko kareñ vo band

phirtī hai yaañ nigāh to rauzan ke saath saath

yuuñ saath ruuh ke hai tan-e-zār ab 'nizām'

phirtā hai jaise saaya mirā tan ke saath saath

Top Urdushayar.com