Nizam Rampuri

maza kya jo yunhi sahar ho gai

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
mazā kyā jo yūñhī sahar ho ga.ī
nahīñ bhī pahar-do-pahar ho ga.ī
tire ġham meñ shab yuuñ basar ho ga.ī
ġharaz rote rote sahar ho ga.ī
na ā.īna har vaqt dekhā karo
kahoge kisī kī nazar ho ga.ī
jo bāñdhī kamar qatl-e-ushshāq par
kamar to na thī par kamar ho ga.ī
sabab un kī ranjish kā kahnā nahīñ
koī pūchhe kis baat par ho ga.ī
laboñ par Thaharne se ai jaañ! husūl
idhar aa ga.ī yā udhar ho ga.ī
koī baat ulfat kī ab to nahīñ
jo kuchh ho ga.ī peshtar ho ga.ī
tirā va.ada go jhuuT hī kyuuñ na ho
tasallī hamārī magar ho ga.ī
taġhāful hai har baat par kis liye
mire dil kī tujh ko ḳhabar ho ga.ī
qayāmat ke āsār bhī ho ga.e
shab-e-ġham darāz is qadar ho ga.ī
manānā rulānā hī bāham rahā
shab-e-vasl yūñhī sahar ho ga.ī
nahīñ kyā karoge na ham ko sunāo
shikāyat adū kī magar ho ga.ī
ḳhudā hai jo is but se phir ho milāp
ġharaz aaj to is qadar ho ga.ī
kahā bhī to us ne kuchh aisā nahīñ
zarā baat meñ chashm tar ho ga.ī
na maanā na maanā usī shoḳh ne
ki duniyā udhar kī idhar ho ga.ī
tumheñ zid na milne kī hai kis liye
mirī aah kyā be-asar ho ga.ī
vo va.ade se kyuuñ phir ga.e kah tū kuchh
ye kyā baat ai nāma-bar ho ga.ī
ye qismat huā vasl bhī gar nasīb
to ranjish bhī har baat par ho ga.ī
vo aa.e bhī yaañ us se ai dil husūl
koī dam ko taskīñ agar ho ga.ī
tire ġham meñ ye haal to ho gayā
ḳhushī ab tirī fitnagar ho ga.ī
ye jhūTī mohabbat se un kī husūl
shikāyat adū kī agar ho ga.ī
unheñ sulh manzūr hai mujh se kab
kahūñ kyā huī kyūñki par ho ga.ī
nizām us ghaḌī kā kahūñ haal kyā
jab us ne kahā vo sahar ho ga.ī
Top Urdushayar.com