mazā  kyā  jo  yūñhī  sahar  ho  ga.ī
nahīñ  bhī  pahar-do-pahar  ho  ga.ī
tire  ġham  meñ  shab  yuuñ  basar  ho  ga.ī
ġharaz  rote  rote  sahar  ho  ga.ī
na  ā.īna  har  vaqt  dekhā  karo
kahoge  kisī  kī  nazar  ho  ga.ī
jo  bāñdhī  kamar  qatl-e-ushshāq  par
kamar  to  na  thī  par  kamar  ho  ga.ī
sabab  un  kī  ranjish  kā  kahnā  nahīñ
koī  pūchhe  kis  baat  par  ho  ga.ī
laboñ  par  Thaharne  se  ai  jaañ!  husūl
idhar  aa  ga.ī  yā  udhar  ho  ga.ī
koī  baat  ulfat  kī  ab  to  nahīñ
jo  kuchh  ho  ga.ī  peshtar  ho  ga.ī
tirā  va.ada  go  jhuuT  hī  kyuuñ  na  ho
tasallī  hamārī  magar  ho  ga.ī
taġhāful  hai  har  baat  par  kis  liye
mire  dil  kī  tujh  ko  ḳhabar  ho  ga.ī
qayāmat  ke  āsār  bhī  ho  ga.e
shab-e-ġham  darāz  is  qadar  ho  ga.ī
manānā  rulānā  hī  bāham  rahā
shab-e-vasl  yūñhī  sahar  ho  ga.ī
nahīñ  kyā  karoge  na  ham  ko  sunāo
shikāyat  adū  kī  magar  ho  ga.ī
ḳhudā  hai  jo  is  but  se  phir  ho  milāp
ġharaz  aaj  to  is  qadar  ho  ga.ī
kahā  bhī  to  us  ne  kuchh  aisā  nahīñ
zarā  baat  meñ  chashm  tar  ho  ga.ī
na  maanā  na  maanā  usī  shoḳh  ne
ki  duniyā  udhar  kī  idhar  ho  ga.ī
tumheñ  zid  na  milne  kī  hai  kis  liye
mirī  aah  kyā  be-asar  ho  ga.ī
vo  va.ade  se  kyuuñ  phir  ga.e  kah  tū  kuchh
ye  kyā  baat  ai  nāma-bar  ho  ga.ī
ye  qismat  huā  vasl  bhī  gar  nasīb
to  ranjish  bhī  har  baat  par  ho  ga.ī
vo  aa.e  bhī  yaañ  us  se  ai  dil  husūl
koī  dam  ko  taskīñ  agar  ho  ga.ī
tire  ġham  meñ  ye  haal  to  ho  gayā
ḳhushī  ab  tirī  fitnagar  ho  ga.ī
ye  jhūTī  mohabbat  se  un  kī  husūl
shikāyat  adū  kī  agar  ho  ga.ī
unheñ  sulh  manzūr  hai  mujh  se  kab
kahūñ  kyā  huī  kyūñki  par  ho  ga.ī
nizām  us  ghaḌī  kā  kahūñ  haal  kyā
jab  us  ne  kahā  vo  sahar  ho  ga.ī