vo  aise  bigḌe  hue  haiñ  ka.ī  mahīne  se
ki  jaañ  pe  ban  ga.ī  tañg  aa  gayā  maiñ  jiine  se
hue  numūd  jo  pistāñ  to  sharm  khā  ke  kahā
ye  kyā  balā  hai  jo  uThtī  hai  mere  siine  se
vo  duur  khiñch  ke  shab-e-vasl  us  kā  ye  kahnā
koī  udhar  hī  ko  baiThā  rahe  qarīne  se
jo  bosa  dete  haiñ  to  lab  bachāte  haiñ  lab  se
lipaTte  bhī  haiñ  to  siina  churā  ke  siine  se
vo  saath  sonā  kisī  kā  vo  garm-joshī  haa.e
namī  vo  jism  kī  cholī  vo  tar  pasīne  se
ḳhushī  yahī  hai  ki  ik  din  to  ġham  se  chhūTeñge
na  maut  aa.e  to  kyā  hāsil  aise  jiine  se
vo  nīchī  nīchī  nigāhoñ  se  dekhnā  mujh  ko
vo  pyaar  takiye  ko  karnā  lagā  ke  siine  se
yahī  vo  raah  hai  jo  dil  se  dil  ko  hotī  hai
husūl  kaun  sā  chāk-e-jigar  ke  siine  se
maiñ  aur  kuchh  nahīñ  kahtā  magar  ye  sun  rakhiye
adū  kā  dil  hai  labālab  hasad  se  kiine  se
ḳhudā  kī  shaan  hai  ye  baat  aur  muñh  un  kā
'nizām'  phir  karūñ  tauba  sharāb  piine  se