Nizam Rampuri

haal-e-dil tum se meri jaan na kaha kaun se din

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872

hāl-e-dil tum se mirī jaañ na kahā kaun se din

mere kahne ko bhalā tum ne sunā kaun se din

lazzateñ vasl kuchh maiñ ne bayāñ kiiñ to kahā

aap ke vāste din aisā huā kaun se din

jab kahā maiñ ne vo kyā din the jo milte the tum

ho ke anjān ajab Dhab se kahā kaun se din

vasl shab hai milo aaj to dil khol ke ḳhuub

ai mirī jaan ye jā.egī hayā kaun se din

rashk-āmez jo kuchh maiñ ne kahā to bole

ġhair ke saath mujhe dekh liyā kaun se din

har ghaḌī dil meñ rahā ḳhauf bigaḌ jaane

tere milne meñ mazā ham ko milā kaun se din

kaun din hai jo bechain nahīñ ho ke 'nizām'

be-qarārī se na us dar pe gayā kaun se din

Top Urdushayar.com