ye  ajab  tum  ne  nikālā  sonā
raat  kā  jāgnā  din  kā  sonā
baḳht-e-ḳhufta  se  to  ummīd  nahīñ
saath  hogā  kabhī  us  kā  sonā
kis  qadar  hijr  meñ  behoshī  hai
jāgnā  bhī  hai  hamārā  sonā
mujh  se  tañg  aa  ke  ye  bole  shab-e-vasl
ye  hī  tum  ho  to  na  hogā  sonā
bas  dam-e-sub.h  satāo  na  mujhe
yaad  vo  zid  hai  vo  apnā  sonā
le  ke  añgḌā.ī  lipaT  jaanā  haa.e
haa.e  vo  saath  kisī  kā  sonā
aap  karvaT  to  idhar  ko  lījiye
jāntā  huuñ  maiñ  tumhārā  sonā
sar  kahīñ  haath  kahīñ  paañv  kahīñ
ye  na.ī  dhaj  hai  nirālā  sonā
phir  shab-e-vasl  ho  phir  ho  yā-rab
jāgnā  merā  aur  un  kā  sonā
āñkheñ  phūTeñ  jo  jhapaktī  bhī  hoñ
shab-e-tanhā.ī  meñ  kaisā  sonā
vo  khulī  aañkh  vo  lab  par  hai  hañsī
ham  nahīñ  mānte  aisā  sonā
raat  āñkhoñ  meñ  guzar  jaatī  hai
in  dinoñ  hai  ye  hamārā  sonā
haa.e  vo  vasl  kī  shab  kā  aalam
haa.e  vo  pichhle  pahar  kā  sonā
kyā  lage  aañkh  jo  yaad  aa.e  'nizām'
rakh  ke  zaanū  pe  sar  us  kā  sonā