aur  ab  kyā  kaheñ  ki  kyā  haiñ  ham
aap  hī  apne  mudda.ā  haiñ  ham
apne  āshiq  haiñ  apne  vārafta
aap  hī  apne  dil-rubā  haiñ  ham
aap  hī  ḳhāna  aap  ḳhāna-ḳhudā
aap  hī  apnī  marhabā  haiñ  ham
ishq  jo  dil  meñ  dard  ho  ke  rahā
ḳhud  usī  dard  kī  davā  haiñ  ham
rāz-e-dil  kī  tarah  zamāne  meñ
the  chhupe  aaj  barmalā  haiñ  ham
kyuuñ  na  ho  arsh  par  dimāġh  apnā
kis  ke  kūche  kī  ḳhāk-e-pā  haiñ  ham
har  koī  āshnā  samajhtā  hai
aur  yaañ  kis  ke  āshnā  haiñ  ham
ibtidā  kī  bhī  ibtidā  haiñ  ham
intihā  kī  bhī  intihā  haiñ  ham
ham  to  bande  'nizām'  un  ke  haiñ
vo  bajā  kahte  haiñ  ''ḳhudā  haiñ  ham''