kyuuñ  nāsehā  udhar  ko  na  muñh  kar  ke  soiye
dil  to  kahe  hai  saath  hī  dilbar  ke  soiye
ghabrā  ke  us  kā  kahnā  vo  haa.e  shab-e-visāl
bas  bas  zarā  ab  aap  to  haT  kar  ke  soiye
maiñ  aap  se  ḳhafā  huuñ  ki  tum  rūThe  ho  paḌe
bohtān  mere  sar  pe  na  yuuñ  dhar  ke  soiye
sote  meñ  bhī  jo  dekhiye  to  chauñk  hī  uThe
kis  tarah  saath  aise  sitamgar  ke  soiye
tum  lutf-e-nashsha  dekho  zarā  tum  ko  dekheñ  ham
kyā  lutf  hai  ki  lete  hī  sāġhar  ke  soiye
mash.hūr  hai  ki  suulī  pe  bhī  niiñd  aatī  hai
yā-rab  shab-e-firāq  meñ  kyūñkar  ke  soiye
takiya  to  aap  sar  ke  tale  roz  rakhte  haiñ
ab  haath  mere  rakh  ke  tale  sar  ke  soiye
vo  muskurā  rahe  ho  lo  vo  aañkh  khul  ga.ī
yuuñ  kaun  māntā  hai  ki  jag  kar  ke  soiye
pās-e-adū  to  dekho  hameñ  hukm  hai  'nizām'
shab  ko  kaheñ  na  paas  mire  ghar  ke  soiye