zaa.e nahīñ hotī kabhī tadbīr kisī kī
merī sī ḳhudāyā na ho taqdīr kisī kī
nāhaq meñ bigaḌ jaane kī aadat ye ġhazab hai
sābit to kyā kījiye taqsīr kisī kī
qāsid ye zabānī tirī bāteñ to sunī haiñ
tab jānūñ ki lā de mujhe tahrīr kisī kī
be-sāḳhta pahroñ hī kahā karte haiñ kyā kyā
ham hote haiñ aur hotī hai tasvīr kisī kī
aisī to 'nizām' un kī na aadat thī vafā kī
vo jaane na jaane ye hai tāsīr kisī kī