Raz Chandpuri

dil ko harif-e-gardish-e-dauran kiye hue

Raz Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1892

dil ko harīf-e-gardish-e-daurāñ kiye hue

baiThā huā huuñ ziist sāmāñ kiye hue

ab mushkilāt-e-rāh-e-mohabbat zikr kyā

ik umr ho ga.ī inheñ āsāñ kiye hue

piitā huuñ roz piitā huuñ talḳhāba-e-umīd

ehsās-e-lutf-e-sāqī-e-daurāñ kiye hue

bahlā rahā huuñ dil ko fareb-e-ḳhayāl se

ummīd-e-ġham-gusārī-e-yārāñ kiye hue

but-ḳhāna-e-majāz se guzrā huuñ bārhā

ḳhuddārī-e-nigāh numāyāñ kiye hue

ab rahā huuñ jānib-e-mai-ḳhāna-e-muġhāñ

sad-ehtirām-e-hazrat-e-yazdāñ kiye hue

achchhā to aaj sair-e-ḳharābāt sahī

lekin ḳhayāl-e-talḳhī-e-daurāñ kiye hue

baiThe hue haiñ bāda-kashān-e-vafā ḳhamosh

ehsās-e-talḳh-kāmi-e-yārāñ kiye hue

dekho vo rahe haiñ harīfān-e-tez-gām

azm-e-tavāf-e-manzil-e-jānāñ kiye hue

ahbāb-e-ḳhush-mazāq ehsān hai ye 'rāz'

muddat huī thī dil ko ġhazal-ḳhvāñ kiye hue

Top Urdushayar.com