Raz Chandpuri

husn-e-surat dekh kar rang-e-tabiat dekh kar

Raz Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1892
husn-e-sūrat dekh kar rañg-e-tabī.at dekh kar
mahv-e-hairat huuñ savād-e-bazm-e-ġhurbat dekh kar
mujh se pūchhe raaz kī bāteñ mujhe ma.alūm haiñ
kyuuñ pareshāñ ho koī nairañg-e-fitrat dekh kar
vāqi.a hai vāqi.a ahl-e-nazar se pūchhiye
husn bhī hairat meñ hai shān-e-mohabbat dekh kar
tez-gāmī muqtazā-e-josh-e-ulfat hī sahī
lekin ai rahrav nuqūsh-e-rāh-e-ulfat dekh kar
ai vatan sub.h-e-vatan shām-e-vatan ahl-e-vatan
yaad aatī hai tumhārī dasht-e-ġhurbat dekh kar
mere saaqī tere qurbāñ kyā kahūñ kis se kahūñ
zarf-e-mai-kash dekh kar rañg-e-tabī.at dekh kar
be-ḳhudī meñ bhī ḳhayāl-e-husn-e-ḳhuddārī rahe
naġhma-zan ho 'rāz' rañg-e-bazm-e-ġhurbat dekh kar
Top Urdushayar.com