vo  paas  aa.e  to  dil  be-qarār  hone  lagā
sukūn-e-dil  kā  mire  intishār  hone  lagā
hai  raaz  kyā  ai  mohabbat  batā  de  ham  ko  zarā
qarīb  aane  pe  kyuuñ  intizār  hone  lagā
zarā  samajhne  de  saaqī  ye  mājrā  kyā  hai
ki  jaam  piine  se  pahle  ḳhumār  hone  lagā
phir  āsmān-e-muqaddar  pe  koī  halchal  hai
ki  nā-gahāñ  mire  dil  pe  ġhubār  hone  lagā
kabhī  vo  aa  bhī  sakeñge  hameñ  yaqīñ  to  na  thā
mile  jo  ḳhvāb  meñ  kuchh  e'tibār  hone  lagā
kiyā  jo  yaad  unheñ  aa  ga.e  tasavvur  meñ
hai  sher  kuchh  to  hameñ  iḳhtiyār  hone  lagā
bahār  hai  ki  ḳhizāñ  'shauq'  ham  yahī  jaane
ki  un  ke  aane  se  rañg-o-bahār  hone  lagā