gahrā.iyoñ  meñ  dil  kī  utartā  chalā  gayā
ġham  tā-dam-e-hayāt  nikhartā  chalā  gayā
yādoñ  kī  vādiyoñ  meñ  jahāñ  rakh  diye  qadam
har  naqsh  zindagī  kā  ubhartā  chalā  gayā
lutf-o-karam  kā  daur  bhī  aayā  to  is  tarah
jhoñkā  havā  kā  jaise  guzartā  chalā  gayā
sun  lī  agar  kisī  kī  kabhī  āh-e-dil-ḳharāsh
nashtar  sā  ek  dil  meñ  utartā  chalā  gayā
āġhāz-e-ishq  kī  faqat  itnī  sī  yaad  hai
āñkhoñ  se  koī  dil  meñ  utartā  chalā  gayā
ham  bhī  rāh-e-hayāt  meñ  chalte  rahe  magar
saaya  sā  jaise  koī  guzartā  chalā  gayā
dekhī  nigāh-e-shauq  meñ  jab  ġham  kī  dāstāñ
andāz-e-husn  aur  nikhartā  chalā  gayā
vo  rafta  rafta  zindagī  se  duur  kyā  hue
ehsās  zindagī  kā  bhī  martā  chalā  gayā
duniyā-e-iltifāt  simaTtī  chalī  ga.ī
shīrāza-e-hayāt  bikhartā  chalā  gayā