gardish-e-muqaddar  kā  silsila  jo  chal  jaa.e
dūsrā  itaab  aa.e  ik  balā  jo  Tal  jaa.e
hujra-e-garebāñ  meñ  har  javāb  raushan  hai
bas  zarā  nigāhoñ  kā  zāviya  badal  jaa.e
āñsuoñ  ke  bahne  kā  ye  asar  to  hotā  hai
ġham  zarā  sā  Dhal  jaa.e  dil  bhī  kuchh  sambhal  jaa.e
mas.aloñ  kī  gutthī  bhī  yuuñ  kahāñ  sulajhtī  hai
ik  sirā  jo  haath  aa.e  dūsrā  nikal  jaa.e
is  adā  ko  kyā  kahiye  vo  paḌos  se  aa  kar
gul  na.e  sajā  jaa.e  chādareñ  badal  jaa.e
kyā  ajab  tasavvur  hai  ham  talab  ke  māroñ  kā
hiddat-e-tamannā  se  āsmāñ  pighal  jaa.e