mire  chāroñ  taraf  ek  āhanī  dīvār  kyuuñ  hai
agar  sachchā  huuñ  maiñ  sach  kā  muqaddar  haar  kyuuñ  hai
nishāt-o-imbisāt-o-shādmānī  ziist  Thahrī
to  batlā.e  koī  jiinā  mujhe  āzār  kyuuñ  hai
masāfat  zindagī  hai  aur  duniyā  ik  sarā.e
to  is  tamsīl  meñ  tūfān  kā  kirdār  kyuuñ  hai
jahāñ  sach  kī  pazīrā.ī  ke  da.avedār  haiñ  sab
usī  bazm-e-suḳhan  meñ  bolnā  dushvār  kyuuñ  hai
yaqīnan  hādse  bhī  juzv-e-ḳhās-e-zindagī  haiñ
hamārā  shahr  hī  in  se  magar  do-chār  kyuuñ  hai
mirī  rāhoñ  meñ  jab  hote  nahīñ  kāñTe  'tasavvur'
maiñ  Dar  kar  sochtā  huuñ  rāsta  hamvār  kyuuñ  hai