rū-ba-rū  but  ke  duā  kī  bhuul  ho  jaa.e  to  phir
aur  phir  vo  hī  duā  maqbūl  ho  jaa.e  to  phir
maiñ  baḌhā.ūñ  haath  jis  kāñTe  kī  jānib  shauq  se
haath  meñ  aa  kar  vo  kāñTā  phuul  ho  jaa.e  to  phir
bādbānoñ  par  havā  ho  mehrbāñ  aur  daf.atan
TukḌe  TukḌe  naav  kā  mastūl  ho  jaa.e  to  phir
nafrateñ  be-zāriyāñ  buġhz-o-ta.assub  dushmanī
zindagī  kā  bas  yahī  ma.amūl  ho  jaa.e  to  phir
qātiloñ  ko  kar  diyā  jaa.e  barī  ilzām  se
vājib-e-ta.azīr  ḳhud  maqtūl  ho  jaa.e  to  phir
lamha  lamha  manzileñ  hotī  chalī  jaa.eñ  ba.iid
aur  qismat  rāste  kī  dhuul  ho  jaa.e  to  phir
hāl-e-dil  apnā  bayāñ  karne  kī  ḳhvāhish  hai  magar
kuchh  tavajjoh  aap  kī  mabzūl  ho  jaa.e  to  phir