har  ek  gaam  pe  ik  but  banānā  chāhā  hai
jise  bhī  chāhā  bahut  kāfirāna  chāhā  hai
hazār  qism  ke  ilzām  aur  ḳhāmoshī
ta.alluqāt  ko  yuuñ  bhī  nibhānā  chāhā  hai
girā.e  jaane  lage  haiñ  daraḳht  har  jānib
ki  maiñ  ne  shāḳh  pe  ik  āshiyāna  chāhā  hai
hai  kyuuñ  adāvat-e-aġhyār  hī  kā  zikr  yahāñ
chaman  to  ahl-e-chaman  ne  jalānā  chāhā  hai
hisār-e-nafrat-e-daur-e-jadīd  meñ  dil  ne
mohabbatoñ  kā  purānā  zamāna  chāhā  hai
ḳhudāyā  dasht-navardī  kā  shauq  hai  kis  ko
musāfiroñ  ne  faqat  āb-o-dāna  chāhā  hai
chaman  meñ  phuul  'tasavvur'  khileñ  har  ik  jānib
isī  sabab  se  to  sahrā  basānā  chāhā  hai