Nasir Amrohvi

tumhaare sine mein dil ke jaisa jo ek patthar dhaDak raha hai

Nasir Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1985

tumhāre siine meñ dil ke jaisā jo ek patthar dhaḌak rahā hai

vo ek patthar na jaane kitne diloñ markaz banā huā hai

ye chāñd se bhī hasīn-tar hai jo chāñd jaisā chamak rahā hai

firāq shab meñ āsmāñ par tumhārā chehrā Tañgā huā hai

dil-e-shikasta ke hausloñ ne har ek manzil ko sar kiyā hai

tumhāre dar tak bhī aan pahuñche par is se aage bhī rāsta hai

saḌak pe baiThe hue qalandar ke sar paḌe haiñ savāl kitne

zamāna us se jo pūchhtā hai vo us ne mujh ko batā diyā hai

tumhārī mahfil meñ aane vaale unhī mohabbat ke dushmanoñ ne

tumhārā merā jo vāqi.a thā use fasāna banā rakhā hai

ḳhulūs-e-yārāñ qadr lekin ḳhulūs-e-yārāñ fā.eda kyā

maiñ in dilāsoñ kyā karūñgā ki dard merā bahut baḌā hai

tumhārī yādoñ ke chaḌhte dariyā ko ḳhushk-sālī se kyā ta.alluq

tumhārī yādoñ chaḌhtā dariyā har ek mausam meñ bah rahā hai

Top Urdushayar.com