diloñ  meñ  dard  hī  utnā  kashīd  rakkhā  hai
ki  aañkh  aañkh  ne  aañsū  kashīd  rakkhā  hai
qitāl  zulm-o-tashaddud  fasād  aag  dhuāñ
hamāre  shahr  meñ  ab  kyā  mazīd  rakkhā  hai
na  jis  se  hall-e-masā.il  kī  raah  nikle  koī
usī  kā  naam  to  guft-o-shunīd  rakkhā  hai
uḌī  hai  jab  se  parindoñ  kī  vāpsī  kī  ḳhabar
har  ek  shaḳhs  ne  piñjra  ḳharīd  rakkhā  hai
batā  rahe  haiñ  'tasavvur'  ye  shahr  ke  hālāt
kisī  kī  pusht  pe  dast-e-yazīd  rakkhā  hai