musāfiroñ  ke  ye  vahm-o-gumāñ  meñ  thā  hī  nahīñ
ki  rāhbar  to  koī  kārvāñ  meñ  thā  hī  nahīñ
savāl  ye  hai  ki  phir  aag  lag  ga.ī  kaise
koī  diyā  to  añdhere  makāñ  meñ  thā  hī  nahīñ
uThā  liye  ga.e  hathiyār  phir  tahaffuz  ko
ki  shahr-e-amn  meñ  koī  amaañ  meñ  thā  hī  nahīñ
to  lāzima  use  aanā  thā  is  zamīñ  par  hī
ki  aadmī  kā  guzar  āsmāñ  meñ  thā  hī  nahīñ
sunā.ī  maiñ  ne  to  mujh  se  ḳhafā  hue  kyuuñ  log
kisī  kā  naam  mirī  dāstāñ  meñ  thā  hī  nahīñ
to  kis  sabab  se  ġhalat-fahmiyāñ  huiiñ  paidā
ba-juz  havā  to  koī  darmiyāñ  meñ  thā  hī  nahīñ
vo  jis  se  shahr-e-'tasavvur'  meñ  raushnī  hotī
sitāra  aisā  koī  āsmāñ  meñ  thā  hī  nahīñ