thiiñ  zamīneñ  gum-shuda  aur  āsmāñ  miltā  na  thā
sar  pe  sūraj  thā  mire  par  sā.ebāñ  miltā  na  thā
be-natīja  hī  rahī  hai  har  safar  kī  justujū
DhūñDne  nikle  the  jis  ko  vo  jahāñ  miltā  na  thā
manzileñ  āsān  thiiñ  aur  rāste  maḳhdūsh  the
kashtiyāñ  maujūd  thiiñ  par  bādbāñ  miltā  na  thā
ghoñsle  ḳhālī  paḌe  haiñ  aur  vahīñ  par  aas  paas
kuchh  parinde  the  ki  jin  ko  āshiyāñ  miltā  na  thā
gardish-e-daurāñ  mujhe  phir  ab  vahīñ  le  aa.ī  hai
shahr  jo  merā  thā  lekin  ham-zabāñ  miltā  na  thā