inkār  kī  lazzat  se  na  iqrār-e-junūñ  se
ye  hijr  khulā  mujh  pe  kisī  aur  fusūñ  se
ye  jaan  chalī  jaa.e  magar  aañch  na  aa.e
ādāb-e-mohabbat  pe  kisī  harf-e-junūñ  se
ujlat  meñ  nahīñ  hogī  tilāvat  tire  ruḳh  kī
aa  baiTh  mire  paas  zarā  der  sukūñ  se
ai  yaar  koī  bol  mohabbat  se  bharā  bol
kyā  samjhūñ  bhalā  maiñ  tirī  haañ  se  tirī  huuñ  se
dīvār  kā  saaya  to  mujhe  mil  nahīñ  paayā
baiThā  huuñ  tirī  yaad  meñ  ab  lag  ke  sutūñ  se
tujh  se  to  mirī  ruuh  kā  bandhan  thā  mire  yaar
anjān  rahā  tū  bhī  mire  hāl-e-darūñ  se