Manzar Lakhnavi

muddat ke baad aisi sunai KHabar mujhe

Manzar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

-1965

muddat ke ba.ad aisī sunā.ī ḳhabar mujhe

maiñ nāma-bar ko dekhtā huuñ nāma-bar mujhe

mahfil pe apnī naaz tumheñ maut par mujhe

bas jaao ab na dekhnā kal se idhar mujhe

sau rāteñ ek hijr shab meñ tamām kiiñ

jab aañkh band nazar aa.ī sahar mujhe

saada varaq javāb meñ ik ke de gayā

dīvāna jāntā hai mirā nāma-bar mujhe

haañ thī kabhī tamīz siyāh-o-safed meñ

aur ab to jaisī shaam hai vaisī sahar mujhe

nāvak kamāñ meñ joḌ ke kahte haiñ naaz se

haañ kaun kaun kahtā hai bedād-gar mujhe

'manzar' ye shor-e-nauha ġham-e-naz.a meñ hai kyuuñ

nākāmiyoñ ko rote haiñ chāra-gar mujhe

Top Urdushayar.com