na  dekheñ  kamtarī  ab  kamtaroñ  kī
isī  meñ  behtarī  hai  behtaroñ  kī
karo  tum  laakh  ārā.ish  gharoñ  kī
zarūrat  kam  na  hogī  maqbaroñ  kī
yahāñ  thak  jaa.e  na  neza  tumhārā
mirī  bastī  hai  bastī  ḳhud-suroñ  kī
siyāsat  ne  paḌhā  rahzan  kā  kalma
baḌī  zillat  huī  hai  rahbaroñ  kī
chaman  ko  ye  nayā  mausam  mubārak
uḌegī  fāḳhta  ab  be-paroñ  kī
ḳhudā  rakkhe  dil-e-īzā-talab  ko
zabāñ  chaltī  rahegī  nashtaroñ  kī
ḳhushā  qātil  kī  shān-e-shahr-yārī
manā.eñ  ḳhair  ham  apne  saroñ  kī
nazar  aatā  nahīñ  apnā  garebāñ
burā.ī  kar  rahe  haiñ  dūsroñ  kī
'valī'  jī  pīr-e-mai-ḳhāna  bane  haiñ
ināyat  hai  ġhazal  ke  dilbaroñ  kī