koī  apne  vāste  mahshar  uThā  kar  le  gayā
yaanī  mere  ḳhvāb  kā  manzar  uThā  kar  le  gayā
zaḳhm-ḳhurda  thā  yaqīnan  koī  ḳhushbū-āshnā
jo  lagā  thā  sar  pe  vo  patthar  uThā  kar  le  gayā
gosha  gosha  ā.ina-ḳhāna  nazar  aayā  mujhe
ḳhud  ko  jab  bāhar  se  maiñ  andar  uThā  kar  le  gayā
kyuuñ  sarāboñ  ko  samajhtā  hai  vo  bahr-e-be-karāñ
kyuuñ  vo  merī  zaat  kā  paikar  uThā  kar  le  gayā
kuchh  na  kuchh  le  kar  hī  kuchh  detī  hai  duniyā  is  liye
ḳhud-ġharaz  duniyā  se  maiñ  daftar  uThā  kar  le  gayā
maiñ  to  sañg-e-mīl  huuñ  har  rāh-rau  ke  vāste
kyā  milegā  koī  mujh  ko  gar  uThā  kar  le  gayā
atlas-o-kam-ḳhvāb  meñ  malbūs  thā  jis  kā  badan
kyuuñ  mirī  mailī  sī  vo  chādar  uThā  kar  le  gayā
kal  talak  jo  kah  rahā  thā  mere  fan  ko  rā.egāñ
aaj  vo  merā  ġhazal-sāgar  uThā  kar  le  gayā
kis  ne  mujh  ko  anjuman  meñ  kar  diyā  tanhā  'valī'
kaun  merī  fikr  kā  mehvar  uThā  kar  le  gayā