Waliullah wali

ishrat-e-duniya-e-fani ki kahani aur hai

Waliullah wali

Vaishali, Bihar, India

1967
ishrat-e-duniyā-e-fānī kī kahānī aur hai
yaad meñ terī jo guzre zindagānī aur hai
is jahāñ meñ kis ko hāsil hai baqā tere sivā
haañ jo terā ho gayā us kī kahānī aur hai
rūThtā hai gar zamāna ruuTh jaa.e ġham nahīñ
is sarāpā mehrbāñ kī mehrbānī aur hai
dekhtā hai kyuuñ koī mazlūm sū-e-asmāñ
bekasoñ kī ye duā-e-be-zabānī aur hai
ishq kahte haiñ kise ye pochhiye mansūr se
jāñ-sapārī aur hai aur rāz-dānī aur hai
ḳhush-gumānī meñ hai duniyā us ko bad-zan dekh kar
mujh se lekin us kī vaj.h-e-bad-gumānī aur hai
lafz kī bāzīgarī se sher kā kyā vāsta
shā.irī meñ ai 'valī' jādū-bayānī aur hai
Top Urdushayar.com