haqīqat  hai  ki  nanhā  sā  diyā  huuñ
magar  har  haal  meñ  jaltā  rahā  huuñ
jamāl-e-sub.h  se  nā-āshnā  huuñ
kisī  tārīk  shab  kī  bad-duā  huuñ
vo  aisā  chhā  gayā  hai  zehn-o-dil  par
jidhar  dekhūñ  usī  ko  dekhtā  huuñ
koī  to  DhūñD  kar  mujh  ko  nikāle
maiñ  apne  shahr-e-jāñ  meñ  kho  gayā  huuñ
jo  hai  tamsīl-e-husn-e-pārsā.ī
'valī'  maiñ  aisā  riñd-e-pārsā  huuñ