imārat  ho  ki  ġhurbat  boltī  hai
ba-har-sūrat  sharāfat  boltī  hai
vahāñ  bāzār  kā  hotā  hai  manzar
jahāñ  ghar  kī  zarūrat  boltī  hai
zabāñ  ḳhāmosh  hī  rahtī  hai  lekin
mire  chehre  kī  rañgat  boltī  hai
ba-zāhir  guftugū  hai  muḳhlisāna
magar  dil  meñ  kudūrat  boltī  hai
vo  patthar  mom  ban  jaa.e  na  kaise
ki  sar  chaḌh  ke  mohabbat  boltī  hai
zabān-e-ilm  par  taale  paḌe  haiñ
ba-zo.am-e-ḳhud  jahālat  boltī  hai
zabāneñ  kaaT  dī  jaatī  haiñ  phir  bhī
rag-o-pai  se  mohabbat  boltī  hai
'valī'  kī  zindagī  ā.īna-sūrat
sadāqat  hī  sadāqat  boltī  hai