husn  kī  fitrat  meñ  dil-āzāriyāñ
us  pe  zālim  nit-na.ī  tayyāriyāñ
muttasil  tiflī  se  āġhāz-e-shabāb
ḳhvāb  ke  āġhosh  meñ  bedāriyāñ
soch  kar  un  kī  galī  meñ  jaa.e  kaun
be-irāda  hotī  haiñ  tayyāriyāñ
dard-e-dil  aur  jān-levā  pursisheñ
ek  bīmārī  kī  sau  bīmāriyāñ
aur  dīvāne  ko  dīvāna  banāo
allāh  allāh  itnī  ḳhātir-dāriyāñ
bañdh  rahā  hai  ai  'razā'  raḳht-e-safar
ho  rahī  haiñ  kuuch  kī  tayyāriyāñ