lamha-e-talḳhī-e-guftār  talak  le  aayā
vo  mujhe  apne  hī  me.aar  talak  le  aayā
kyā  rakhe  us  se  koī  silsila-e-guft-o-shunīd
ghar  kī  bātoñ  ko  jo  bāzār  talak  le  aayā
maiñ  ne  jo  baat  bharose  pe  kahī  thī  us  se
vo  use  surḳhi-e-aḳhbār  talak  le  aayā
ghar  meñ  jab  kuchh  na  bachā  us  kī  iāñat  ke  liye
maiñ  uThā  kar  dar-o-dīvār  talak  le  aayā
us  kī  āñkhoñ  meñ  ajab  sehr  thā  maiñ  jis  ke  sabab
dil  kī  bāteñ  lab-e-iz.hār  talak  le  aayā
vo  jo  qaa.il  hī  na  thā  merī  mohabbat  kā  use
rafta  rafta  had-e-iqrār  talak  le  aayā
mere  har  jhuuT  ko  duniyā  ne  sarāhā  lekin
ek  sach  marhala-e-dār  talak  le  aayā