nazm  ḳhabroñ  ko  kiyā  aur  na  latīfe  likkhe
maiñ  ne  ash.ār  meñ  jiine  ke  salīqe  likkhe
martabe  ahl-e-suḳhan  ke  tumheñ  tai  karne  haiñ
kis  ne  haq  baat  kahī  kis  ne  qasīde  likkhe
sab  ko  tadbīr  bhī  karne  ko  vahī  kahtā  hai
aur  haiñ  sab  ke  muqaddar  bhī  usī  ke  likkhe
shiddat-e-mehr  se  dī  us  ke  ġhazab  ko  tashbīh
us  kī  rahmat  ko  agar  fazl  ke  saa.e  likkhe
kuchh  zarūr  un  meñ  nasīhat  thī  magar  yaad  nahīñ
jo  paḌhe  the  vo  buzurgoñ  ke  maqūle  likkhe
zindagī  tujh  pe  likhūñgā  na  ziyāda  ab  kuchh
jo  bhī  mazmūn  tirī  mad.h  meñ  likkhe  likkhe
likhtā  rahtā  hai  vahī  harf-e-ta.alluq  'aḳhtar'
us  se  kah  do  ki  ab  is  baat  se  aage  likkhe