kaise  samjhegā  sadaf  kā  vo  guhar  se  rishta
jo  samajh  paa.e  na  āñkhoñ  kā  nazar  se  rishta
mo'atabar  sar  hī  banā  lo  to  bahut  achchhā  hai
kam  hī  rah  paatā  hai  dastār  kā  sar  se  rishta
hai  ġharīboñ  kā  amīroñ  se  ta.alluq  itnā
jitnā  hotā  hai  charāġhoñ  kā  sahar  se  rishta
be-asar  jab  haiñ  zabāneñ  to  kiyā  kyā  jaa.e
varna  rakhtī  haiñ  duā.eñ  bhī  asar  se  rishta
ham  ne  rusvā.ī  kī  us  vaqt  se  chādar  oḌhī
jis  ghaḌī  toḌ  diyā  thā  tire  dar  se  rishta
dil  kā  rishta  bhī  agar  socho  to  kyā  rishta  hai
nibh  rahā  hai  isī  rishte  ke  asar  se  rishta
justujū  us  kī  ḳhudā  jaane  hai  kis  manzil  tak
ḳhatm  hotā  nahīñ  'aḳhtar'  kā  safar  se  rishta