maiñ  tire  lutf-o-karam  kā  jab  se  ras  piine  lagā
bas  tabhī  se  khul  ke  apnī  zindagī  jiine  lagā
ai  bulandī  chāhne  vaale  bhaTak  mat  aa  udhar
mere  shānoñ  ke  sahāre  arsh  tak  ziine  lagā
ho  ḳhushī  koī  bhī  jā  kar  paḌ  ga.ī  tere  gale
ġham  ho  koī  bhī  vo  aa  kar  bas  mire  siine  lagā
huuk  kitnī  soz  kitnā  Tiis  kitnī  dil  meñ  hai
ai  matā-e-zaḳhm  tū  ab  yuuñ  na  taḳhmīne  lagā
jhuriyāñ  chehre  kī  'aḳhtar'  ye  dikhā.eñge  tujhe
umr  jab  Dhalne  lage  ghar  meñ  na  ā.īne  lagā